Jise deewar samjha hai wo rasta ho bhi sakta hai
Zamana ghour se daikhey jisey is ne khuda samjha hai
Wo is k hath ka pather tarasha ho bhi sakta hai
Nazar se door re ker bhi kisi soch main rehna
Kisi k paas rehney ka tareeqa ho bhi sakta hai
Wo apni sard mehri se mughey hud main to rakhta hai
Mera hud se guzurney ka irada ho bhi sakta hai
Bhair duniya ka meila sath ho to koun si mushkil
Mager aik shakhs meley main akela ho bhi sakta hai
Uchalta thokarain khata howa paani ka aik dharaa
Tere dil tak pohanchney ka bahana ho bhi sakta hai
Nikal ker bund kamrey se zara baazar main aao
Ager tum daikhna chaho tamasha ho bhi sakta hai
Comments
0 comments to "Angry SMS"
Post a Comment